Kuch aise lamhat haseen guzre pichle dinon,
Baatein kuch na kehkar bhi keh gaye woh,
In aankhon main muskaan wo bhar gaye,
Pankh mere mujhe lauta gaye!
Kuch khatti, kuch meethi yaadein,
Jazbaat haseen umadte laut te hain aa rahein,
Aaj dil hai jhoom raha,
Ya khuda shukr-guzaar! main aazaad hua!
Hai yeh pal itne haseen,
Ae dil nasheen, mujhe poora hai yakeen,
Mera aaj hai kuch aisa haal-e-dil,
Ya khuda, woh nahin to meri zindagi main koi aur hogi shaamil!
Aaj kuch man ka mahaul aisa hai ban raha,
Jaanta hun mere khuda, mere liye kuch achcha hai tune socha!
Mere liye jise hoga tune chuna,
Laakhon main ek hogi woh haseena!